mustansar
Single
31 Years Old
Muslim male
From jhelum, punjab, Other
Occupation is Unknown Profession
Ethnicity is Pakistani
About Him
Schools
Aisa bhi nahin hai ke
Ethnicity
Pakistani
Religion
Muslim
Spiritual Values
Not
Languages
English, Punjabi, and Hindi
Cultural Values
Mix of East and West
Family Origin
Somewhere on Planet Earth
Political Views
Middle of the Road
Discussion Posts
His Personal Description
.
"Baarishon k mausam main " (myself written)
jab kisi ki yaad aaye,
tum zara sa ro lena,
apne rote chehre ko,
baarishon main dholena
baarishon ka mausam bhi ,
jab bura lage tum ko,
or apni shaamain bhi,
tum ko tanha lagti hon,
ya to chandni raaten,
tum se kuch na kehti hon,
us ghari samajh lena ,
tum ne ik khata ki hai
baarishon k mausam main,
tum ne jis ko chora tha,
wo he tum ko piyara tha,
tum ne jis ko thukraya,
us main dil tumhara tha,
ab saza to milni hai
baarishon k mausam main ,
us ki siskiyan tum ko ,
raat bher satati hain,
us ki serd aahen bhi ,
derd e dil jagati hain,
tum udaas rehte ho.
baarishon k mausam main,
jab kisi ki yaad aaye,
us ghari samajh lena,
aaj tum jo tanha ho,
tum se door reh ker to,
aaj wo bhi tanha hai....barishon k mausam main"
.....................
from "amjad islam amjad" a famous paki poet
kaha aa kay rukney they rastey kaah morr tha ussey bhol ja
wo jo mil gaya ussey yad rakh,jo ni mila ussey bhol ja
wo terey naseeb ki barshein kisi aur chhat pay baars gii
dil e bay khabar meri bat sun,ussey bhol ja ,ussey bhol ja
na wo aankh he teri aankh thi,na wo khawab he tera khawab tha
dil e muntazer tou yeh kisliyey tera jaggna,ussey bhol ja
yeh jo rat din ka khail hay eisey dekh eis pay yaqeen na kar
nahi ukas koi bi mustaqel(permanent)sar e aaina ussey bhol ja
jo basat e jaan he ult gaya, jo rastey say palt gaya
ussey rokney say hasoolkia,ussey mat bula ussey bhol ja
touyeh kiss kay lieyey ussey shab e hijar kay har sitarey may dekhna
wo faluk kay jis py miley they hum,koi aur tha ,ussey bhol ja
tujhey chand ban kay mila thajo,terey sahiloo pay khila tha jo
wo tha aik darya wasal ka,so uter gaya ussey bhol ja
..............